Mining site par drilling ke dauran ek UNKNOWN SPACE mil gaya aur wahi se khul gaya wo darwaza jo yugon se band tha. Is darwaze se roshni nahi, sirf andhera nikla.
Us andhere me se kuch Rakshas is Kalyug me ghus aaye - koi bada businessman ban gaya, koi neta, koi dharm ke naam par logon ko baantne laga. Unka bhojan paisa nahi, balki gussa, laalach aur vishwas ka tootna hai.
Is beech ek aam insaan hai jise lagta hai wo galat jagah aa gaya hai. Jab koi jhooth bolta hai to use saans lene me dikkat hoti hai. Kya wo is darwaze ko band kar payega? Kya Kalyug bachne layak hai?
Ek thriller, horror aur mythology ka combination - Kalyug Rakshas Saga.
Sachin Yadav ek Indian author hain jo Kalyug, mythology aur horror-thriller stories likhte hain. Unki kahani Kalyug Rakshas Saga ek aisi duniya dikhati hai jahan darwaze sirf lohe ke nahi, vishwas ke bhi hote hain. Wo Lucknow se hain.